Whatsapp Shayari

We have the best collections of Whatsapp Shayari only for you, Don't forget to share.


Best collection of Whatsapp Shayari



Ishq Hai To Shak Kaisa ! 
Nahi Hai To Haq Kaisa !

Kaun Sharma Raha Hai, Yu Fursat Mein Yaad Kar Ke,
Ke Hichkiyaan Aana To Chaah Rahi Hai, Par Hich-Kicha Rahi Hai

Tum pucho aur main na batau aise to haalaat nahi,
Ek zara sa dil toota hai, aur to koi baat nahi.

Ek taraf nakhre tere, Ek taraf Mohabbat meri,
Dono hi laajawab hain

Zamana Badalta Raha, Main Na Badal Saka Phir Bhi,
Naadaan, Naadaan Hi Raha Ulta Bhi Likha Aur Seedha Bhi.

Ek Dooje Ko Der Se Samjha, Der Se Yaari Ki,
Hum Dono Ne Ek Mohabbat, Baari Baari Ki.

Tere Ishq me jo bhi doob gaya, usse duniya ke lahroon se darna kya.

Kitni shiddat se roya tha main tere liye,
Ab jo sochu'n to khud par hasi aati hai.


Naa tha kuch to khuda tha, kuch naa hota to khuda hota,
Duboya mujhko hone ne, naa hota main to kya hota.

Tu mujhe mil jaaye, Itni choti meri soch nahi.
Main tujhe mil jaon, Itni uchi teri pohanch nahi.

Hataa Kar Zulf Chehre Se Na Chatt Par Shaam Ko Aana,
Kahi Koi Eid Na Kar Le, Abhi Ramadan Baaki Hai.

Kya keh gayi kisi ki nazar kuch na puchiye,
Jhukti hui nazar se wo uthta hua sa ishq.

Chupke se bheja tha ek ?gulab? teri khatir,
?khushboo? ne saare shehar me tamasha bana diya.

Tum Chaand Ki Duniya Tak Pahuche Ho Sahare Se,
Humne Chaand Ke Kiye Tukde Wo Bhi Ishaare Se.

Aankhon mein nami, hansi labon par,
Kya haal hai, kya dikha rahe ho.

Husn Waale Husn Ka Anjaam Dekh,
Dubte Suraj Ko Zara Waqt-e-Shaam Dekh.

Mohabbat meri jo pyaasi huyi,
To gehri meri udaasi huyi.

Aye hasrat-e-deedaar yeh kya raaz hai akhir,
Ke woh samne aatey hain to dekha nahin jaata.

Andaaz Apnaa Dekhte Hai Aaine Mein Wo,
Kabhi Zulfein Sanwaar Ke Kabhi Zulfein Bigaad Ke.

Na shakhon ne jagah di, naa hawaon ne bakhsha,
Wo patta aawara naa banta to kya karta.

Duniya ki har cheez thokar kha kar toot jaati hai,
Magar ek kaamyabi hai, Jo aksar thokar kha kar milti hai.

Itni badsaluki naa kar aye zindagi,
Hum kaunsa yahan baar baar aane wale hai.

Wo Mujhse Meri Pasand Ke Baare Mein Poochti Hai,
Kaisi Pagal Hai Khud Apne Baare Mein Poochti Hai.

Haath pakad le pagli abhi tera ho sakta hu,
Bheed bahut hai kho bhi sakta hu.

Yeh naa pucho bhaiyo mera karobaar kya hai,
Mohabbat bech raha hu, nafrat ke baazar me.

Main wo khel nahi khelta jisme Jeetna Fix ho,
Kyunke Khel ka maza tab hai Jab Haarne ka Risk ho.

Iss dil ko tum hi rakh lo,
badi fikar hoti hai isse tumhari.

Bahut rulaya hai sabne ishq ki khatir ae Maut,
agar tu sath de to sabko rulane ka irada h mera.

Dil ka dooba hua manzar bayaan karde,
Ae ghalib tu pathar se dil me jaan bharde.

Ishq ki aakhri haado me hu,
Raakh ho gaya hu aur jal nahi sakta.

Ek shaam aati hai tumhari yaad lekar, Ek shaam jaati hai tumhari yaad dekar,
Par hame us shaam ka intezar hai, Jo aaye saath tume lekar.

Dushman banane ke liye zaruri nahi ke jung hi ladi jaye,
Thode se kaamyaab ho jao, wo khairaat mein milenge.

Ye baat aur hai ki, Humne tumhe kabhi kaha nahi,
Magar iska matlab yeh nahi ki, Humne tumhe chaha nahi.

Zarurato ki bediyan padi hui hai paon mein,
Tum hi batao laut aau kis tarah gaon mein.

Humne dekha hai zamane ka badalna lekin,
Unke badle hue tewar nahi dekhe jaate.

Jis ko tufaan se ulajhney ki aadat ho Mohsin,
Aisi kashti ko sammandar bhi duaa deta hai.

Badi Talab hai Tere Deedar ki Meri bechain Nigahon ko,
Kisi sham chale aao in aankhon mein Raat ka khwab ban kar.

Taj mahal se pooch mumtaz kaisi thi,
Shahjahan k lehje mein pathar pathar bol uthega.

Mujhe Paana Itna Mushkil To Nahi,
Teen Lafzon Ke Liye Kuch Mehnat To Kijiye.

Intiha-e-ishq bhi hai aur talab-e-deedar bhi,
Dil ko bhoolne ki Himmat nahi, Nighahon ko dekhne ki Ijazat nahi.

Baat to kirdaar ki hoti hai warna,
Qad me to saya bhi insaan se bada hota hai.

Zulm itna na kar ke log kahein tujhko Dushman mera,
Humne zamane ko Tujhe apni jaan bata rakha hai.

Jis Ka Koi Jawab Hi Na Mila,
Zindagi Wo Sawal Laayi Hai.

Chalo aaj tumhein raato'n ko jaagne ka sabab bata dete hain,
Mohabbat kar ke dekhlo, Neend aa jaye to kehna.

Neend na bhi aaye to so liya karo Ghalib,
Raat bhar jagne se bhi mehboob nahi aaya karte.

Zindagi mein Kasam, Kadam aur kalam,
Bahot soch samajh kar uthana chaiye.

Umar beet jaati hai ek ghar banane mein,
Log aah nahin karte bastiya'n jalane mein.

Falak Se Torr Laaya Hun, Magar phir Se naYi ZiDD Hai unki,
Sitare Mein nahi Leti, Mujhe to CHAND la kar Do.

Kabhi dekha hai dhoop mein tanha shajar ko,
Aise jalte hain wafao'n ko nibhanewale.

Tere Rukh Pe Ho Udasi Ye Mujhe Gawara Nahi,
Main Dukh Jahan Ka Seh Lunga, Teri ek Khushi Ki Khatir.

Hum jinda h khuda ke karam se
warna hamare dusman kam nhi jamane me.

Bohat Mushkil Se Karta Hoon, Teri Yaadon Ka Karobaar,
Munafa Kam Hi Hai Lekin, Guzara Ho Hi Jaata Hai.

Tu Kisi Aur Ke Liye Hoga Samandar Ki Misaal,
Ham Roz Tere Sahil Se Pyase Guzar Jate Hain.

Meri duao'n ki ibteda aap logo'n se hua karti hai,
Ye na kaha karo ke, Dua mein yaad rakhna.

Teri jeet se milti hai khushi mujhko,
Mere paas yehi jawab meri haar ka tha.

Sharma gaye, Adaein dikha gaye, ankh’ein chura gaye,
Aye ishq marhaba wo yaha’n tak to aa gaye.

Tumko chaha to mohabbat ki samajh aayi,
Warna to iss lafz ki bass taarif suna karte the.

Abhi To Chand Lafzon Main Samaita Hai Tujhe Main Ne,
Abhi To Meri Kitabon Main Teri Tafseer Baaqi Hai.

Hisaab e umr ka itna sa goshwara hai,
Tumhein nikal kar dekha toh sab khasara hai.

Sab se Badi Daulat Dil ki Daulat, Sikke to kisi ke sage nahi hote,
Aaj Mere Wafadar, Kal tumhare Ghulam.

Mujhe maloom hai meri aankho'n ko talash kis ki hai,
Tujhe dekhoo'n to bass manzil ka gumaan hota hai.

Chalne ko chal raha hun per iski khabar nahi,
Main hoon safar mein ya meri manzil safar mein hai.

Insaan ka bura waqt usay logo'n ki asliyat ki pehchaan karata hai.

Wo Yaad Karegi Jis Din Meri Mohabbat Ko,
Wo Royegi Bahot Phir se Meri Hone K liye.

Masoom sa chehra, khule khule gesu, muskurahat labo'n par,
Tum to saadgi mein bhi jaana, qayamat si ada rakhti ho.

Kuch is tarah sauda kiya waqt ne,
Tajurba dekar, nadaani le gaya.

Jab dost banake kaam ho sakta hai,
to phir dushmani kyu kare.

Kabhi kitabo'n mein phool rakhna, kabhi darakhto'n pe naam likhna,
Hamein aaj tak yaad hai wo nazar se harf e salaam likhna.

Kitne bikre hue hain madine ke phool,
Karbala teri kismat pe lakho'n salaam.

Laut aai hain dekho phirse baarishein yahan wahan,
Ek tumhi ko laut aane ki fursat nahi mili.

Bakhsh Dena Ishq Mein Humari Gustakhiyan.,
Dil He kaaboo Mein Nahin Toh Hum Kya Karein.

Yad aa rahi hai mujhe wo bachapan ki kahani,
Wo kagaz ki kashti, wo barish ka pani.

Tasveer mein khayal hona to laazmi sa hai,
Magar ek tasveer hai jo khayalo'n mein bani hai.

Jab bhi kehta hu'n koi taza ghazal tere liye,
Mere ehsas mein khilte hain kanwal tere liye.

Azaad Kar Denge Tujhko Apni Mohabbat Ki Qaid Se,
Kare Jo Humse Behtar Tumhari Qadar Pahle Wo Shakhs To Dhoond Lao.

Haaye! ab bhool gaya rang-e-hina bhi tera.
Khat bhi kabhi khoon se tehreer hua karte the.

Mat karo guroor tum apne husn par itna,
Husn bhi waqt k saath dhal jayega.

Falak par Chand, Farsh par main,
Ajab ittefaaq hai, wo bhi tanha, main bhi tanha.

Mat karo mere alfazo ko tum is kadar pasand,
Kahin tumhe is shayar se pyar na ho jaye.

Ye Alag Baat hai ke Tameer Ki Taufeeq Na Ho,
Warna Har Dil Mein Taj Mahal Hote Hain.

Is Tarah Hamne Apni Garibi Ka Rakha Bharam.
Waastey Kam Kar Diye , Maghrur Kahlane Lage.

Muhabbat Ki ek Bari Nishani,
Baat Be-Baat Muskura Dena.

Ye ajab majra ho gaya hai,
Har cheez mein tu hi nazar aaye.

Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi faraz
Mujh pe jurm jo saabit howa wo wafaa ka tha.

Narm lafzon se bhi lag jaati hain chottein aksar,
Muhabbat ek barra naazuk sa hunar hoti hai.

Woh haal bhi na puch sake behaal dekh kar,
Hum haal bhi na bata sake ussy khush haal dekha kar.

aap bhi itna samjh ley, mujhko samjhane ke baad,
aadmi majboor ho jata hai, dil aa jaane ke baad.

Wohi Muntazir Nighaein, Wohi Sham-e-Gham Ka Aalam,
Hum Azal Se Dekh Rahe Hain Teri Wapsi Ki Raahein.

Hazaroon Daastanein Hain, Heer, Laila, Sheerin Ki,
Tum Apne Sath Mujh Ko Bhi Ek Aisi Daastan Kar Do.

Waqt Insaan ko Sikha Deta hai Ajab Ajab Cheezain,
Phir kya Naseeb, kya Muqaddar, kya Hath ki Lakeerain.

Dil Ka Rog Tha, Na Yaadain Thi, Aur Na Hi Ye Hijar,
Tere Pyar Se Pehle Ki Neendain Bhi kamal ki Thi.
Previous
Next Post »